Kufr Kise Kehte Hain?
IsLami Aqaa'id Ke KhiLaaf Koyi Aqeedah Rakhna , Ya IsLam Ki Kisi Mash'hoor Ma'loom Baat Ka Inkaar Karna Us Me'n Shak Karna..
Jaise__Namaz , Rozah , Zakaat , Hajj Ko Farz Na Janna , Ya QurAan Ko Allah Ta'Aala Ka Kalaam Na Samajhna , Ya Jannat , Dozakh , Farishte , Qayamat Waghairah Par Yaqeen Na Rakhna , Ya Kisi Nabi Ya Farishte Ki Tauheen Karna Ya Kisi Sunnat Ko Halka Janna , Ya Kisi Shara'ee Hukm Ka Mazaaq Udana , Ya Mazaaq Me'n Koyi Kufriyah Jumla Bolna , Ye Sab Baate'n Kufr Hain..
*📚 (Ref:- Deeni Ta'ALeem)*
*✍🏻... Az-Allama Sayyad Shah Turabul Haq Qadri AlaihirRahman

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें